Ticker

6/recent/ticker-posts

अब क्या कहूँ मैं हाल दिले-बेक़रार का : रोमांटिक ग़ज़ल - प्रेमनाथ बिस्मिल

Ab Kya Kahoon Main Haal Dil-e-Beqaraar Ka : Romantic Ghazal - Premnath Bismil

 Bismil Mein Aadhi Raat Ko Ghar Se Nikal Pada
Aaya Hai Phir Khyal Usi ke deyar ka

Romantic Shero Shayari

www.superhitlove.xyz- dard bhari Hindi, latest romantic poetry, Intezaar shayari, Masti bhari shayari, Chahat shayari, Pyar Mohabbat shayari, Zabardast Hindi shayari, jhakaas Bindass love shayari in Hindi

रोमांटिक शायरी फॉर गर्लफ्रैंड

 अब क्या कहूँ मैं हाल दिले-बेक़रार का
 तक़दीर में लिखा ही नहीं जलवा यार का

Ab Kya Kahoon Main Haal Dil-E- Beqaraar Ka
Takdeer Mein Likha hi nahin jalwa Yaar Ka

 मिलता नहीं सुकून कहीं भी जहान में 
कहते हैं सब कि रोग लगा मुझको प्यार का

Milta Nahin sukun Kahin Bhi Jahan Mein
Kahate Hain Sab Ki Rog Laga Mujhko Pyar Ka

 खिलते नहीं हैं फूल कहीं भी चमन में अब
 गुलशन से जैसे रूठा है मौसम बहार का

Khilate Nahin Hain Phool Kahin Bhi Chaman Mein Ab
Gulshan Se Jaise Rota Hai Mausam Bahar ka

 अब घर भी मुझको लगता है ज़िनदान की तरह 
हर फ़र्द काम करने लगा पहरेदार का

Ab ghar Bhi Mujhko lagta hai Zindan Ki Tarah
Har Fard Kam Karne Laga Pehredar ka

 घुट घुट के मर रहा हूँ इसी फ़िक्र के सबब 
पुरसिश करेगा कौन भला दिल-फ़िगार का

Ghut Ghut Ke Mar raha hun Isi Fikar ke Sabab
Purshish Karega Kaun Bhala Dil fegar Ka

 छत पर तू चली आती कभी चाँद रात में
 ये आरज़ू है कब से दिले-बेक़रार का

Chhat per Tu Chali Aati Kabhi chand raat mein
Ye Aarzoo Hai Kab Se Dil Beqarar Ka

 "बिस्मिल" मैं आधी रात को घर से निकल पड़ा
 आया है फिर ख़्याल उसी के दयार का

Bismil Mein Aadhi Raat Ko Ghar Se Nikal Pada
Aaya Hai Phir Khyal Usi ke deyar ka
प्रेमनाथ "बिस्मिल"
Premnath Bismil
महुआ, वैशाली

Post a Comment

0 Comments